White fungus kya hota hai

 Dosto aap sabhi ko pata he hai ,ki covid ke baad black fungus case ke kai mamle aaye aur isi bich jab patna me 4 white fungus case aaye to pure desh me ek tarhe ki dehsat fel gayi . Vaise aapko ghabrane ki jrurat nahi hai kyuki white fungus ka treatment hai jisse aapko sahi hone me koi dikkat nahi aaygi . Do dosto is post me aapko sari jaankariya milegi jese White Fungus kya hota hai , kese hota hai ,kinko hota hai ese sare savalo ka javab milega . Is bimari ke bare me sari jankari vistrit roop me de gyi hai aur bhi jankari ke liye aap government ki health department ki website visit kar sakte hai.

WHITE-Fungus-Kya-Hota-Hai
White Fungus Full Information in Hindi



White fungus kya hota hai ( What is white fungus )

White fungus ke Naam se hi pata chal raha hai ye ek prakar ka fungus hai jo black fungus ke saman hai. Dosto covid ke Doran jab black fungus ke mamle desh me bad rahe the tabhi bharat ke patna sehar se 4 white fungus patient ki khabar aayi , vaise to unko bacha liya gya tha. Aur iska ilaj bhi ho jaata hai par ye bimari ki asanka hone par apne paas me uplabdh hospital me jaldi visit karna chahiye . 

        White fungus black fungus ke saman he hai jo covid ke baad ya jinhone adhik steroid medicines li hai unhe ho raha hai baajar me chalne wali kuch steroid ke udharan nimn hai 

1. Dexona. 

  To dosto white fungus ek prkar ka fungal infection hai jiska ilaj sambhav hai. Kuch white fungus ke bare me jaankariya

  • White fungus skin me candida namak jivanu ke karan hota hai
  • Mahilao ke jananng jaise vulva aadi me yeast ke infection ke karan hota hai
  • Aur muh me bhi ho jata hai candida albicans ke karan
To dosto ye bimari ek prkar ki bimari hai jo khas kar skin , mouth ,eye ya sexual organs me paayi gayi hai.


White fungus kinko ho sakta hai ( who can be affected by White Fungus)

Yah avashyak Nahin Hai ki yah Bimari sirf covid Walon Ko ho

, is Bimari ko covid se isliye Joda ja raha hai Kyunki covid Ke ilaj Ke dauran Adhik se Adhik steroid wali dawai lene wale patients me problem Payi Gai thi. Baki ye fungal infection ango sambandhit fungus se bhi ho sakta hai.


White Fungus ke lakshman (Symptoms of white fungus)

White fungus rog ke symptoms ango aur fungus prajati ke aadhar par alag alg hota hai


  1. Samany tor par covid jesa symptoms hote hai
  2. Mouth par white spots ban jate hai
  3. New born babies me yeh daypar candisosis ke rup me hota hai.

White-Fungus-Kya-Hai
Image Credit : Rajasthan patrika


White Fungus ka test kese hota hain ? (Test of White Fungus)


White fungus ka bimari ki jaanch ke liye yadi aapka Rtpcr ya rapid anti gen test negative ho aur HRCT me covid ke saare lakshan ho to rapid anti body test or fungus ke liye bukhar ka lab me culture karvana jruri hai.


White Fungus kyu hota hai Reasons of White Fungus


  White fungus alg alg organ me alag alg fungus ke karan hota hai par white fungus ke kuch reasons niche diye gye hai.
  • Immunity bhut kamjor hona
  • Diabetic hona
  • Antibiotics ka adhik sevan krna
  • Steroids ka adhik sevan ilaj ke rup me 
  • Ventilator tube bacteria effected hone par
  • Oxygen cylinder me kam me li jane wali humidifier me sterilized water ka use karna chhaiye
  • Lungs me jaane wali oxygen jivanu rahit honi chhaiye

White Fungus se kaise bache | How to  protect yourself from White fungus

White fungus ka vaise to ilaj hai parantu niche kuch vises jankariya di gayi hai jiska upyog krke aap white fungus se bach sakte hai.

  • Steroids davaiyo ka sevan jahan tk sambhav ho na kare
  • Yadi aapko covid ke doran Adhik antibiotics ya steroids di gayi thi to doctor ya aapne physician se consult jarur kare
  • Black fungus ke jaise lakshan ho tb bhi test jrur karvaye kyunki black fungus covid aur White fungus ke symptoms same paye gaye hai.
  • Oxygen cylinder me use kiye jane vala humidifier me used water sterilized hona chhaiye 
  • Ventilator pipe sterilized hona chhaiye
  • Saaf safai ka dhyan kare.


Sou2rces for white fungus disease

Upar btayi gyi saari jankariya internet or news paper se li gayi hai yadi aap ko kisi bhi parkar ka symptoms hi to doctor se consult kare aur adhik jaankari ke liye niche sources diye gaye hai jaha se aap adhik jaankari prapt kar payenge.



Note: all informations are collected from internet, Me and My team are medical professionals. If found any symptoms of shown above please contact physician.










Post a Comment

0 Comments